Zindah Hain Yahi Baat
Is Shehar Kharabi Mein Gham Ishhq Ke Maaray
Zindah Hain Yahi Baat Barri Baat Hai Pyare
Yeh Aur Baat Teri Gali Mein
Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Nah Ayen Hum
Lekin Yeh kya Ke Shehar Tra Chore Jayen Hum
Justaju Aaj Bhi Usi Ki Hai
Pa Sakey Gey Na Umar Bhar Jis Ko
Justaju Aaj Bhi Usi Ki Hai
Un Ke Anay Ke Baad Bhi Jalib
Un Ke Anay Ke Baad Bhi Jalib
Dair Tak Un Ka Intezaar Raha
Zulm Ke Hote Aman Kahan
Zulm Ke Hote Aman Kahan Mumkin Yaaro
Isay Mita Kar Jag Mein Aman Bahaal Karo
Usay Tha Shoq Bohat Mujh
Usay Tha Shoq Bohat Mujh Ko Acha Rakhnay Ka
Yeh Shoq Ouron Ko Shayad Bura Laga Hoga
Magar Zamane Ki Baton
Woh Dekhnay Mujhe Aana To Chahta Hoga
Magar Zamane Ki Baton Se Dar Gaya Hoga
Bhala Bhi Day Usay Jo Baat
Bhala Bhi Day Usay Jo Baat Ho Gayi Pyare
Naye Chairag Jala Raat Ho Gayi Pyare
Ab Teri Zaroorat Bhi Bohat
Ab Teri Zaroorat Bhi Bohat Kam Hai Meri Jaan
Ab Shoq Ka Kuch Aur Hi Aalam Hai Meri Jaan
Kuch Aur Bhi Hain Kaam
Kuch Aur Bhi Hain Kaam Hamein Ae Gham Janan
Kab Tak Koi Uljhi Hui Zulfon Ko Aanware
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment section